Posts

Showing posts from April, 2021

Sangharsh Exam Ka

Image
                      Photo: MeriPadhai Pic: brainyquote.com Yun hi din nikalte jaa rahe h, Aur ham, Musafir ki tarah chalte jaa rahe h. Ek umeed hoti h khud se, Ki aaj vo kam ban jayega. Par fir kismat vahin le aati hai, Jahan se shruaat ki jati hai. Har din kuch aage badte, Fir aata ek mod hai. Jisme likha hota hai "better luck next time".  Yhan ham thoda aage badte, aur Fir koshish karte firte hain. Subh nayi umeed ke sath Naye Josh me din nikalte hain Kab khatam hua din   Iska pata na chalta h Yun hi koshish karte karte Sochte.. "Ek din aisa bhi ayega Jab kaam safal ho jayega,  Issi umeed ke sath So jaya karte hain" Agle din aankh khuli Dekha ki ek khat hai Jisme likhi haqiqat h Vo sapna jo hmne dekha aaj pura vo jo hua hai Ye natiza Samay se ki gyi koshish  Or Maa Baap ki Duaon ka hai Maa Baap ki Duaon ka hai                     ...

Log kya kahenge -- Poem

Image
                     Photo-  Pinterest   Logo ka toh kam hai kahna Log kehte jayenge, Bas tu haar na mann chote Ek din yahi paas tere aayenge. Jb tu safal bann  jayega, Inka jalan se muh laal ho jayega. Tu kitna hi achha karle, Ye tere sath na achhe hai. Tere Achhe me ye sath kismat ka dete hai Kuch galat ho jaye toh dosh ye tera dete hai Inki batain inki soch Tu apna bada rakh approach Jis din tu safal ho jayega Inka nazara dusron par aa jayega Unki bhi kami ye nikal hi lenge Kyuki,  na toh inki apni banti hai Na hi kismat inki chatakti hai Dhyan Dega toh fas jayega Nhi Dega toh tera naam ban jayega Jb tu safal hojayega, in char logon ko na dhund paiga. Photo: Pinterest